Ghar Par Banaye Paneer Ke Lajawab Dahi Bade
Paneer ke Dahi Bade Banane ke Liye Samargi : -
1. 500 gram paneer
2. 1 kg dahi
3. 100 gm rice.
4. sarso ka tel.
5. Baking soda ek cutki.
6. Namak or mirch swad anusaar.
7. Dahi bada masala.
8. Garam masala.
9. Rai or Jeera Tadke ke liye.
10. Sakkar 1 chamamch
Chatani Banane ke Liye :-
1. Hara dhania
2. Lahsun 5 - 6 kali.
3. 2 tamatar
4. 2 hari mirch
5. Namak swad anusaar
6. Badi ilaichi
Paneer ke Swadisht Dahi Bade Banane Ki Vidhi : -
1. Rice ko saaf karke 1 ghante tak bhigo de.
2. Paneer ko kaddukas kare.
3. Rice mian thoda sa namak or baking soda milakar fet le.
4. 10 min tak fulane ke liye chod de.
5. Dahi ko fet le. Isme swad ke anusaar namak or lal mirch daale.
6. Isme dahi bada masala, garam masala or chini mila de.
7. Ek pan main ghee garam kare, isme rai or jeera dalkar dahi main baghar ( tadka ) dijiye.
8. Ek kadhai main tel garam kare or bado ko halka sunhera hone tak tale, ab inko dahi main 1 ghante tak dhobo kar rakhe.
9. chatani ke liye saari samargi ko pees le, chatani tyaar ho jayegi.
10. Ab dahi bado ko chatani daalkar khaaye.
Comments
Post a Comment