फटी एड़ियों का घरेलू नुस्खे - फटी एड़ियां का इलाज
Sardi ke mosuam mein aur thand ke dinon mein adiyon ke fatane ki samasya aam baat hoti hai. Fati Adiyon mein daraare ho jati hai. Jisse adiyon mein soojan, dard aur chalane mein pareshaani hoti hain. Heels ke fatne ka sabse bada karan calcium aur nami ka na hona. Sabhi chahte hai ki unki adiya (heels) komal, sundar, aur mulayam ho. Agar adiya fati ho toh aksar dusro ke samne sarminda hona padta hai. Adiyon ko fatne (crack heel) se bachane ke liye aapko yeh gharelu nuskhe aur gharelu upay karne chahiye. फटी एड़ियों का घरेलू नुस्खे - Crack Heel Repair Tips in Hindi :- 1. Petroleum Jelly :- Petroleum Jelly raat ko sote samay fati adiyo par achi tarah lagani chahiye. Isse kuch hi dino mein aapki fati adiya bharne lag jayegi. 2. Shahad ka Istemal :- Aadha kap shahad mein paani milakar kareeb 20 - 25 minute tak usmein apane pairo ko dubokar rakhe. Jisake aapke pair komal ho jaenge. 3. Nariyal ka tel (coconut oil) :- Nariyal ka tel raat ko sone se pahale fati hui adiyo