कंप्यूटर पर काम करने के साइड इफेक्ट - Computer ke Side effect
अगर आप भी करते है लगातार कंप्यूटर पर काम तो सावधान हो जाए, हो सकता है जानलेवा
Computer ke Side effect on our body in hindi : - Computer ke yug main computer ka paryog na ho iski to kalpana bhi nahi ki ja sakti, Lekin computer par lagataar kam karne se hamare
sharir par bura asar bhi ho jaata hai jo hanikarak hota hai. Computer par kaam karne waalo ke liye kuch vishesh sujhaav diye gaye hai jinko apnakar aap apne jivan main computer ke disadvantage
se chutkara paa sakte hai.
कंप्यूटर से होने वाले एफेक्ट ओर बचाने के उपाय या टिप्स :-
1. Lambe samay tak computer par kaam karne waale adhikhatar air conditioner room main baithe rahte hai, isse hamare sharir ki nami kam ho jaati hai, iska ek simple sa upay hai ki
din main 8 se 1o glass peena chahiye taaki paani ki kami na ho or sharir swasth rahe.
2. Jayada der tak moniter ke saamane nahi baithna chahiye, issse aankho main thakhan hoti hai, Lataki hui taango main dard hota hai, kamar main bhi dard hone lagata hai, iske liye har 30 se 40
min ke beech seat se khade ho jaaye taaki aankho, kamar, taango main aaram mil jaaye.
3. Yadi khidaki se hariyali ya paani dikhai deta ho to apna dhyaan wanha lagaye, isse aankhoko rahat milegi.
4. Computer par kaam karte huye aankho ko jhapkaate rahe taaki aanho main thakan na ho.
5. Apne hatho ka cup banaye or aankho par rakh le , 20 se 25 min baad aankhe khole or band kare ,isse aapko kafi relex feel kareng.
6. Jab bhi aapko aankhe thaki hui lage to thande paani se dho le, isse aankho main jalan nahi hogi.
7. Yad aap chasme ka paryog karte hai to din main kam se kam ek baar usko jarur dhoye taaki uske upper jami dhool, mitti aapki aankho main na jaaye, health tips for eyes in hindi
Comments
Post a Comment